DUSHEHRA DIN 24 October 2012  

Jeevan  ek sangram.

Kyaa kuch nahi ghattaa bachpan se budhaape tak.

Bade bade santon va muniyon ne kaha,

Bachpan khel kud men gawaya , Jawani need bhar soyaa,

Buddhaapa dekh kar mann royaa. Aaise hi samaya gawaaya.

Es sacchayee par kabhi na sochana chaaha.

Mann ko chhotaa na karo ,Abhibhi hai kuch na bigada.

Aaj hi se soch mann drudh kar lo,Ab samay ko na main gawaaun.

Sachaa  sankalp kiya.

Samay  hi tumhe mokaa degaa,Es  moke ko na gawaana,

Phir vapas nahin hai aana.  Bas ab sahi vakkht hai  aaya.

Kah gay kitne gyani .

Samay  par aaye moke ka ,Sahi esthmaal jisne kiya,

Vaha jaroor safal hua ,

Rakh vishwaas upne mann, Aage badhaale upne kadam,

Jeevan ek sangram hai.Mushkilen jaroor aani hai,

Par mann ghabharaahat na laanaa,Kaarya karane mann himmat laanaa.

Nidar aur himmatwaan jo banaa,Usne har mushkil ka kiya samanaa.

Kurukshetra ko yaad karo

Geetopadesh ka paath yaad karo .Krishna ne jo Arjun ko samjhaayaa

Karmayoga ke panth chalaaya.

Kahaa Krishna ne Kaurav sam hamari agyaanataa

hai bilkul  hamare hi bhitar,Satve panch pandav se banker

Karma akarma ka tatva  grahana karo .

Gyaan yog aur Raaj yog ko bhi tum samajh paaoge.

Jeevan ke  sangram men  SAI SHYAM ki param kripa se

vijayee banoo, vijayee banoo  vijayee banoo.

APNE   SAB   VIKAAR   AVIVEK   PAR   JAB   TUM

VIJAY   PRAAPT   KAROGE   TUM   MUKTI AVICHAL PAOGE TUM.

OM   SHANTI   OM  SHANTI  OM SHANTI  OM SHANTIHI.